Ya Nabi Nusqaye Tasqeer Ko Mai Jaan Gaya

Ya Nabi Nusqaye Tasqeer Ko Mai Jaan Gaya

Ya Nabi Nusqaye Tasqeer Ko Mai Jaan Gaya
Usko Sab Maangaye Aapko Jo Maan Gaya.

Har Makaan Waalon Ko Karta Hua Hairaan Gaya
Laa Makaan Me Mera Paighambare Zeeshan Gaya.

Doobte Doobte Jab Unki Taraf Dhyaan Gaya
Leke Sahil Ki Taraf Khud Mujhe Toofan Gaya.

Ishqe Sarkare Do Aalam Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Zindagi Teri Haqiqath Ko Mai Pehchan Gaya.

Ghaib Ka Jaan'ne Waala Unhe Jab Maine Kaha
Baat Imaan Ki Thi Kufr Bura Maan Gaya.

Bas Iraade Se Hi Maujon Ka Hua Kaam Tamaam
Ya Nabi Kehna Hi Chaha Tha Ke Toofan Gaya.

Jaise Barson Ki Mulaqaat Rahi Ho Unse
Qabr Me Dekhte Hi Mai Unhe Pehchan Gaya.

Naat Goyi Ka Mai Mamnoone Karam Hoon Aijaaz
Khuld Me Leke Mujhe Naatiya Deewan Gaya.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi