Hain Aise Jalwe Ba Damaan Ali Ke Naqshe Qadam

Hain Aise Jalwe Ba Damaan Ali Ke Naqshe

Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab

Hain Aise Jalwe Ba Damaan Ali Ke Naqshe Qadam
Ke Jaise Husne Farozaan Ali Ke Naqshe Qadam.

Har Ek Dard Ka Darmaan Ali Ke Naqshe Qadam
Meri Hayaath Ka Samaan Ali Ke Naqshe Qadam.

Ali Ki Zaat To Taskeen -E- Jaane Paakaan Hai
Ke Hain Qaraare Dilo Jaan Ali Ke Naqshe Qadam.

Najaane Kitni Hi Sadiyaan Guzargayin Lekin
Hain Ab Bhi Kitne Darakhshaan Ali Ke Naqshe Qadam.

Musibaton Me Qadam Jab Bhi Dagmagate Hain
Bane Hain Mere Nigehbaan Ali Ke Naqshe Qadam.

Jo Sa'ee Ki Kabhi Baatil Ne Sar Uthane Ki
Huwe Ubhar Ke Numayaan Ali Ke Naqshe Qadam.

Ali Ko Dekho Nabi Ke Hain Wo Qadam Ba Qadam
Hain Rehnumaye Musalmaan Ali Ke Naqshe Qadam.

Basa Loon Dil Me Unhein Aur Karun Tawaaf Unka
Milein Jo Mujhko Hai Armaan Ali Ke Naqshe Qadam.

Wahin Banegi Phir Ek Sajdagaahe Ahle Nazar
Jahan Bhi Honge Numayaan Ali Ke Naqshe Qadam.

Hama Shuma Ka To Kya Zikr Hai Yahan Bismil
Khud Auliya Ka Hai Irfaan Ali Ke Naqshe Qadam.

More from Manqabat -E- Maula -E- Kayenath A.S

More kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab

  • Ab Lagan Sirf Ali Hain Ya Ali Ke Bete
  • Ajmer Chal Ke Dekho Rutba Ali Ke Ghar Ka
  • Ahle Nazar Ki Aankh Ka Taara Ali Ali
  • Ali Ali Ho Ali Ali Ho
  • Ali Ke Chahne Waale  Ali Ka Wasf Paida Kar
  • Ali Nu Yaad Karo Ral Ke Fariyaad Karo