Zabaan Ke Saath Dil Bola Ali Maula Ali Maula
Zabaan Ke Saath Dil Bola Ali Maula Ali Maula
Kalaam of Zaheen Shah Taaji Sahab
Ali Maula Ali Maula Ali Maula Ali Maula
Zabaan Ke Saath Dil Bola Ali Maula Ali Maula.
Ali Aala Hai Oola Hai Ali Ka Bol Baala Hai
Jo Baala Hai Wo Ye Bola Ali Maula Ali Maula.
Ali Tahir Hain Mazhar Hain Muqaddam Hain Moakkhar Hain
Ali Oola Ali Aula Ali Maula Ali Maula.
Ali Nafse Payambar Hain Ali Behtar Hain Bartar Hain
Har Ek Mizaan Me Tola Ali Maula Ali Maula.
Ali Ki Badshaahi Hai Ali Isme Ilaahi Hai
Ali Ne Sirre Haq Khola Ali Maula Ali Maula.
Zaheen -E- Maste Maula Ne Sharaab -E- Ishqe Maula Me
Ghame Kaunain Ko Ghola Ali Maula Ali Maula.