Naaraye Maula Ali –E- Murtaza Kuch Aur Hai

Naaraye Maula Ali –E- Murtaza Kuch Aur Hai

Kalaam of Asad Karbalayi Sahab

Naaraye Maula Ali –E- Murtaza Kuch Aur Hai
Laakh Hon Mushkil Mera Mushkil Kusha Kuch Aur Hai.

Bad Se Bad Tar The Hue Hain Aur Raheinge Hashr Tak
Dushmane Aale Ali Ki Ye Saza Kuch Aur Hai.

Jab Pukara Ya Ali Fauran Madad Ko Aagaye
Hamko Mushkil Me Bhi Mushkil Ka Maza Kuch Aur Hai.

Jange Khaibar Me Ali Beemar The Phir Kya Hua
Ibteda Kuch Aur Thi Par Inteha Kuch Aur Hai.

Hain Hazaaron Naamwar Shamsheer Duniya Me Magar
Zulfiqare Haidari Ka Dabdaba Kuch Aur Hai.

Afzal –O- Aala Hain Mansab Kul Sahaba Ke Magar
Khum Ke Mimbar Par Ali Ka Martaba Kuch Aur Hai.

Zikre Khum Me Horahi Hai Barishe Rehmath Asad
Aisi Barish Me Maza Har Boondh Ka Kuch Aur Hai.

More from Manqabat -E- Maula -E- Kayenath A.S

More kalaam of Asad Karbalayi Sahab

  • Ab Lagan Sirf Ali Hain Ya Ali Ke Bete
  • Ajmer Chal Ke Dekho Rutba Ali Ke Ghar Ka
  • Ahle Nazar Ki Aankh Ka Taara Ali Ali
  • Ali Ali Ho Ali Ali Ho
  • Ali Ke Chahne Waale  Ali Ka Wasf Paida Kar
  • Ali Nu Yaad Karo Ral Ke Fariyaad Karo