Habeebe Khuda Ka Nazara Karun Mai

Habeebe Khuda Ka Nazara Karun Mai

Kalaam of Mustafa Raza Khan Sahab

Habeebe Khuda Ka Nazara Karun Mai
Dilo Jaan Unpar Nisaara Karun Mai.

Mujhe Apni Rehmath Se Tu Apna Karle
Siwa Tere Sabse Kinaara Karun Mai.

Khudara Ab Aao Ke Dam Hai Labon Par
Dame Wapasi To Nazara Karun Mai.

Mujhe Haath Aaye Agar Taaje Shaahi
Teri Naqshe Paa Par Nisaara Karun Mai.

Dame Wapasi Tak Tere Geet Gaun
Muhammad Mumajjad Pukaara Karun Mai.

Tere Dar Ke Hote Kahan Jaaun Pyaare
Kahan Apna Daman Pasaara Karun Mai.

Khuda Khair Se Laaye Wo Din Bhi Noori
Madine Ki Galiyan Buhaara Karun Mai.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Mustafa Raza Khan Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi