Rukhe Mehboobe Subhani Ke Sadqe
Rukhe Mehboobe Subhani Ke Sadqe
Kalaam of Bedam Warsi Sahab
Rukhe Mehboobe Subhani Ke Sadqe
Mai Uss Tasweere Noorani Ke Sadqe.
Shahe Iqleem -E- Irfaani Ke Sadqe
Janabe Ghouse -E- Samdani Ke Sadqe.
Moinuddin Ajmeri Ke Qurban
Muhaiyyudin Jeelani Ke Sadqe.
Bana Hai Seena Gulzaare Khaleeli
Mai Apne Darde Pinhaani Ke Sadqe.
Tasadduq Mehjabeenon Par Zamana
Mai Apne Peere Lasaani Ke Sadqe.
Fida Bedam Ali Ke Laadlon Par
Rasoolallah Ke Jaani Ke Sadqe.