Ye Ek Shakl Hai Mehshar Me Mu Dikhane Ki

Ye Ek Shakl Hai Mehshar Me Mu Dikhane Ki

Kalaam of Hazrath Waqaar Uddin Siddiqui R.a

Ye Ek Shakl Hai Mehshar Me Mu Dikhane Ki
Jabeen Pe Khaak Hai Haidar Ke Aastane Ki.

Khuda Kare Na Uthe Sar Tumhari Chaukhat Se
Yehi Jagah Hai Zamane Me Sar Jhukane Ki.

Tumhari Deed Ibadath Hai Mere Mashrab Me
Mere Khameer Me Ulfath Hai Uss Gharane Ki.

Hai Waqiya To Yehi Bandaye Ali Hoon Mai
Ye Aur Baat Hai Surath Nahi Jataane Ki.

Waqaar Aapka Ruswa Na Ho Do Aalam Me
Ye Ek Baat Thi Bas Aapko Sunaane Ki.

More from Manqabat -E- Maula -E- Kayenath A.S

More kalaam of Hazrath Waqaar Uddin Siddiqui R.a

  • Ab Lagan Sirf Ali Hain Ya Ali Ke Bete
  • Ajmer Chal Ke Dekho Rutba Ali Ke Ghar Ka
  • Ahle Nazar Ki Aankh Ka Taara Ali Ali
  • Ali Ali Ho Ali Ali Ho
  • Ali Ke Chahne Waale  Ali Ka Wasf Paida Kar
  • Ali Nu Yaad Karo Ral Ke Fariyaad Karo