Ya Shahe Bat'ha, Rehmath Ke Ujaale

Ya Shahe Bat'ha, Rehmath Ke Ujaale

Apna Apna Hai Muqaddar Ye Naseeb Apna Hai
Dard Apna Hai Dawa Apni Tabeeb Apna Hai
Fikr Baqshish Ki Ho Kyun Khauf Mujhe Dozakh Ka
Apne Baqshane Ko Mehshar Me Habeeb Apna Hai
Mai Wo Saail Hoon Jhidak Deti Hai Duniya Jisko
Aap Kehdijiye Aaqa Ye Ghareeb Apna Hai.

Ya Shahe Bat'ha, Rehmath Ke Ujaale
Sunlo Mere Naaley, Huzoor Mera Koi Nahi
Rehem Karo Mujhpar Aye Gesuon Waale
Sunlo Mere Naaley, Huzoor Mera Koi Nahi.

Girah...
Mai Bhi Gada Hoon Aapka Sarkar Dekhna
Meri Taraf Bhi Ahmed -E- Muqthar Dekhna
Duniya Mujhe Na Dekhe To Parwah Nahi Magar
Lekin Meri Taraf Mere Sarkar Dekhna.

Deta Hoon Waasta Mai Tumhari Aal Ka
Sadqa Ataa Ho Fatima Zahra Ke Laal Ka.

Sher...
Chaaron Taraf Chaaya Hai Ranj Ka Andhera
Aapka Karam Ho To Bhaag Jage Mera
Aap Hain Musibath Ke Taalne Waale
Sunlo Mere Naaley, Huzoor Mera Koi Nahi.

Girah...
Gar Tum Na Karoge To Karam Kaun Karega
Jholi Meri Tumhare Siwa Kaun Bharega.

Ya Rasoolallah Ba Dargahat Panah Aavurda'am
Ham Chu Kaahe Aajizam Kohe Gunaah Aavurda'am
Ghair -E- Tu Malja -O- Maawa Neest Dar Har Doosra
Rehm Kun Ya Sayyadi Haale Tabah Aavurda'am.

Ya Muhammad Bamane Besaro Samaan Madade
Qiblaye Deen Madade Kaaba -E- Imaan Madade
Laisa Li Ghairuka Ya Sayyade Makki Madani
Suyam Afghan Nazare Bar Mane Hairaan Madade
Ma Gadayem Tu Sultane Do Aalam Shudayii
Ya Rasoole Madani Shafaye Isiyaan Madade.

Sher...
Mai Bhi Hoon Ghulamon Me Ya Nabi Tumhare
Aas Meri Jaaye Na Aamena Ke Pyaare
Rehem Karo Mujhpar Aye Gesuon Waale,
Sunlo Mere Pyaare, Huzoor Mera Koi Nahi.

Aapke Siwa Aye Madine Waale Daata
Koi Bhi Ghareebi Me Kaam Nahi Aata
Kaun Hai Jo Anwar Ko Paas Bulaale,
Seene Se Lagaale, Huzoor Mera Koi Nahi.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi