Zara Chehre Se Parde Ko Uthao Ya Rasoolallah

Zara Chehre Se Parde Ko Uthao Ya Rasoolallah

Kalaam of Imdadullah Muhajir Makki R.a

Zara Chehre Se Parde Ko Uthao Ya Rasoolallah
Mujhe Deedar Bas Apna Dikhao Ya Rasoolallah.

Karo Rooe Munawwar Se Meri Aankhon Ko Noorani
Mujhe Furqat Ki Zulmath Se Bachao Ya Rasoolallah.

Khuda Aashiq Tumhara Aur Ho Mehboob Tum Uske
Hai Aisa Martaba Kiska Sunao Ya Rasoolallah.

Mujhe Bhi Yaad Rakhiyo Hoon Tumhara Ummati Aasi
Gunahgaron Ko Jab Tum Baqshwao Ya Rasoolallah.

Karam Farmao Ham Par Aur Karo Haq Se Shafa'at Tum
Hamare Jurm -O- Isiyaan Par Na Jaao Ya Rasoolallah.

Jahaaz Ummat Ka Haq Ne Kardiya Hai Aapke Haathon
Bas Ab Chaaho Dubaao Ya Tiraao Ya Rasoolallah.

Habeebe Kibriya Ho Tum Imaam –Ul- Ambiya Ho Tum
Hamein Behre Khuda Haq Se Milaao Ya Rasoolallah.

Agar Che Hoon Na Laaiq Waaan Ke Par Umeed Hai Tumse
Ke Phir Mujhko Madine Me Bulao Ya Rasoolallah.

Phansa Kar Apne Daaim IShq Me Imdaad Aajiz Ko
Bas Ab Qaide Do Aalam Se Churdao Ya Ya Rasoolallah.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Imdadullah Muhajir Makki R.a

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi