Aye Saba Sarkar Ki Baatein Suna

Aye Saba Sarkar Ki Baatein Suna

Kalaam of Abdul Sattar Niyazi Sahab

Aye Saba Sarkar Ki Baatein Suna
Sayyade Abraar Ki Baatein Suna.

Tu Mujhe Sarkar Ki Baatein Suna
Haan Zara Uss Yaar Ki Baatein Suna.

Mai Duroodon Ke Hoon Naghme Chedta
Tu Mujhe Sarkar Ki Baatein Suna.

Sabz Gumbad Aur Sunehri Jaaliyan
Bas Dare Anwaar Ki Baatein Suna.

Ham Najaane Kab Madine Jayeinge
Tu Mere Manthaar Ki Baatein Suna.

Mai Padhun Wajdaan Me Salle Alaa
Pyaar Se Tu Pyaar Ki Baatein Suna.

Shayad Aajayein Kabhi Wo Khwab Me
Wasl Ki Deedar Ki Baatein Suna.

Hai Niyazi Dam Me Jab Tak Dam Tere
Ahmade Muqthar Ki Baatein Suna.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Abdul Sattar Niyazi Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi