Aane Waalon Ye To Bataao Shehre Madina Kaisa Hai

Aane Waalon Ye To Bataao Shehre Madina Kaisa Hai

Aane Waalon Ye To Bataao Shehre Madina Kaisa Hai
Sar Unke Qadmon Me Rakh Ke Jhuk Kar Jeena Kaisa Hai.

Gumbade Khazra Ke Saaye Me Baith Ke Tum To Aaye Ho
Uss Saaye Me Rab Ke Aage Sajda Karna Kaisa Hai.

Dil Aankhein Aur Rooh Tumhari Lagti Hai Sairaab Mujhe
Dar Par Unke Baith Ke Aabe Zam Zam Peena Kaisa Hai.

Deewanon Aankhon Se Tumhari Itna Pooch To Lene Do
Waqte Dua Rauze Pe Unke Aansu Bahana Kaisa Hai.

Aye Jannat Ke Haqdaaron Mujh Mangte Ko Ye Batlaao
Unki Sakha Se Apna Daman Bhar Kar Aana Kaisa Hai.

Lag Jaao Seene Se Mere Taiba Se Tum Aaye Ho
Dekhloon Mai Bhi Aapko Ab Ye Doori Sehna Kaisa Hai.

Waqte Rukhsat Dil Ko Apne Chord Wahan Tum Aaye Ho
Ye Batlaao Ishrath Unke Dar Se Bichadna Kaisa Hai.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi