Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarahdaar Banaya

Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarahdaar Banaya

Aisa Tujhe Khaliq Ne Tarahdaar Banaya
Yousuf Ko Tera Taalibe Deedar Banaya.

Kaunain Banaye Gaye Sarkar Ki Qaatir
Kaunain Ki Qaatir Tumhe Sarkar Banaya.

Kunji Tumhe Di Apne Khazanon Ki Khuda Ne
Mehboob Kiya Malik -O- Muqthar Banaya.

Be Yaaro Madadgaar Jinhe Koi Na Pooche
Aison Ka Tujhe Yaaro Madadgaar Banaya.

Unke Labe Rangeen Ki Nichawar Thi Wo Jisne
Patthar Me Hasan Laale Pur Anwaar Banaya.

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi