Sarkare Do Aalam Ka Rauza
Sarkare Do Aalam Ka Rauza
Sarkare Do Aalam Ka Rauza
Subhanallah Subhanallah
Hai Arsh Se Bhi Uncha Darja
Subhanallah Subhanallah.
Jo Ahle Zamana Paate Hain
Ham Khud Bhi Jo Peete Khaate Hain
Ye Sab Hai Muhammad Ka Sadqa
Subhanallah Subhanallah.
Kya Jinno Bashar Kya Hooro Malak
Kya Shams -O- Qamar Kya Arz -O- Falak
Hain Saare Ke Saare Unke Gada
Subhanallah Subhanallah.
Hai Sar Pe Shafa'ath Ka Sehra
Aankhein Hain Basaarat Ka Chashma
Mehki Zulfein Raushan Chehra
Subhanallah Subhanallah.
Meraj Ki Shab Allah Allah
Jibreel Ka Noorani Maatha
Mehboobe Ilaahi Ka Talwa
Subhanallah Subhanallah.
Sarkar Jo Dedein Lo Usko
Jis Cheez Se Rokein Rukjaao
Quran Me Hai Ye Hukme Khuda
Subhanallah Subhanallah.
Hairath Ye Koi Dekhe To Zara
Siddiq -O- Umar Ki Azmath Ka
Quran Bhi Bataata Hai Rutba
Subhanallah Subhanallah.