Aaj Badhawa Piya Ghar Aaye
Aaj Badhawa Piya Ghar Aaye
Goondho Ri Maalan Phoolon Ka Sehra
Aaj Badhawa Piya Ghar Aaye.
Kul Aalam Me Dhoom Machi Hai
Yahan Shahe Jeelan Ki Shaadi Rachi Hai
Aise Piya Ke Mai Waari Balhaari Jaaun
Aaj Badhawa Piya Ghar Aaye.
Ek Piya Saara Aalam Suhagan
Aise Bane Ke Mai Waari Balhaari Jaaun
Aaj Badhawa Piya Ghar Aaye.
Wo Tashreef Laaye Ye Unka Karam Hai
Ye Ghar Tha Kahan Unke Aane Ke Qaabil
Aaj Badhawa Piya Ghar Aaye.
Use Bhi Gale Se Lagaate Hain Meeran
Jo Hota Nahi Munh Lagaane Ke Qaabil
Aaj Badhawa Piya Ghar Aaye.