Baghdad Waale Dulha Raushan Zameer
Baghdad Waale Dulha Raushan Zameer
Ghouse -E- Aazam Ka Jahan Me Kya Saqi Darbar Hai
Auliya Jitne Hain Saare Sab Ke Wo Sardar Hai.
Baghdad Waale Dulha Raushan Zameer
Mere Peerane Peer Mere Peerane Peer.
Ya Ghouse Mujh Ghareeb Ka Adna Sawaal Do
Badkaar Badnaseeb Ko Kuch Deke Taal Do
Taaje Sikandari Naa Hi Duniya Ka Maal Do
Sadqa Rasoole Paak Ka Jholi Me Daal Do.
Mubarak Ho Bohot Pyaara Mila Rutba Mere Meeran
Ali Ke Laal Hone Ka Sharaf Tumko Mere Meeran
Tumhe Maula Ali Ne Waliyon Ka Sultan Banaya Hai
Tufaile Mustafa Tumko Mila Rutba Siwa Meeran.
Hasan Hussain Ke Jalwe Hain Jeelan Teri Surath Me
Tera Noore Wilayath Se Saja Sehra Mere Meeran
Moinuddin Khwaja Ne Tumhe Dulha Banaya Hai
Fareeduddin Baba Ne Padha Sehra Tera Meeran.
Karam Allah Ka Baghdad Ke Sultan Hain Tumpar
Hua Hai Azmaton Waala Ataa Rutba Mere Meeran
Baharein Hain Fida Chishti Qalandar Tere Jalwon Se
Mubarak Marhaba Sad Marhaba Rutba Mere Meeran.
Khuda Ke Hukm Se Murdon Ko Zinda Kardiya Tumne
Nazar Se Chor Ko Abdaal Meeran Kardiya Tumne
Jahan Jisne Pukaara Aagaye Imdaad Ko Meeran
Mera Qibla Mera Kaaba Mera Imaan Hai Meeran.
Shehr Baghdad Ham Aayein Yehi Hasrath Hamari Hai
Wahan Jholi Ko Phailayein Yehi Hasrath Hamari Hai
Muraadein Sab Ki Bar Aayein Yehi Hasrath Hamari Hai
Tera Deedar Sab Paayein Yehi Hasrath Hamari Hai.
Younus Mumtaz Ki Fariyad Ko Sunlo Mere Meeran
Daman Ko Ham Bhi Phailayein Kabhi Dar Par Meeran
Panjatan Paak Ka Sadqa Ataa Kardo Mere Meeran
Mere Daman Ko Bhardo Waasta Pyaare Nabi Meeran.