Har Maraz Ka Utar Gaya Paani

Har Maraz Ka Utar Gaya Paani

Kalaam of Asad Iqbal Sahab

Har Maraz Ka Utar Gaya Paani
Maine Zam Zam Ka Jab Piya Paani.

Dekh Kar Husne Mustafai Ko
Chand Ke Mu Me Aagaya Paani.

Chand Talwe Ko Choom Kar Bola
Husn Ka Mujhpe Chadhgaya Paani.

Mustafa Ke Labon Ko Hilna Tha
Baadalon Se Baras Pada Paani.

Mere Shabbir Chaahte Gar To
Ek Thokar Se Phoot'ta Paani.

Nanhe Asghar Ke Pyaas Ke Sadqe
Saari Duniya Ko Milgaya Paani.

Mere Khwaja Ka Hukm Sunte Hi
Ek Kaanse Me Aagaya Paani.

Aye Asad Sab Khuda Ki Naimath Hai
Rang Khushbu Ghata Hawa Paani.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Asad Iqbal Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi