Ye Aarzu Nahi Ke Duayein Hazaar Do

Ye Aarzu Nahi Ke Duayein Hazaar Do

Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab

Ye Aarzu Nahi Ke Duayein Hazaar Do
Padh Ke Nabi Ki Naat Lahad Me Utaar Do.

Dekha Abhi Abhi Hai Nazar Ne Jamaale Yaar
Aye Maut Mujhko Thodi Si Mohlath Udhaar Do.

Sunte Hain Jaankani Ka Hai Lamha Bohot Kathin
Lekar Nabi Ka Naam Ye Lamha Guzaar Do.

Mere Kareem Hain Tere Dar Ka Faqeer Hoon
Apne Karam Ki Bheek Mujhe Baar Baar Do.

Gar Jeetna Hai Ishq Me Laazim Ye Shart Hai
Khelo Agar Ye Baazi To Har Cheez Haar Do.

Ye Jaan Bhi Zahoori Nabi Ke Tufail Hai
Iss Jaan Ko Huzoor Ka Sadqa Utaar Do.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi