Sultane Karbala Ko Hamara Salaam Ho

Sultane Karbala Ko Hamara Salaam Ho

Sultane Karbala Ko Hamara Salaam Ho
Jaanane Mustafa Ko Hamara Salaam Ho.

Abbas Naamdaar Hain Zakhmon Se Choor Choor
Uss Paikare Raza Ko Hamara Salaam Ho.

Akbar Se Naujawaan Bhi Ran Me Hue Shaheed
Ham Shakle Mustafa Ko Hamara Salaam Ho.

Asghar Ki Nanni Jaan Pe Laakhon Durood Hon
Mazloom -O- Be Gunah Ko Hamara Salaam Ho.

Bhai Bhatije Bhaanje Sab Hogaye Nisaar
Har Laale Be Baha Ko Hamara Salaam Ho.

Ho Kar Shaheed Qaum Ki Kashti Tiraa Gaye
Ummat Ke Na Khuda Ko Hamara Salaam Ho.

Nasir Wilaaye Shaah Me Kehta Hai Baar Baar
Mehmane Karbala Ko Hamara Salaam Ho.

More from Manqabat -E- Hz Imame Hussain A.S

  • Aag Si Dil Me Lagi Aankh Se Chalka Paani
  • Aa Ghame Shabbir Aa Seene Laga Kar Choomlun
  • Aaya Na Hoga Iss Tarah Rango Shabaab Reth Par
  • Akse Ruqe Rasool Hai Chehra Hussain Ka
  • Allah Ahle Baite Payambar Ke Saath Hai
  • Aye Khuda Naseebe Ko Aise Jagmaga Dena