Mai Sojaun Ya Mustafa Kehte Kehte
Mai Sojaun Ya Mustafa Kehte Kehte
Kalaam of Mustafa Raza Khan Sahab
Mai Sojaun Ya Mustafa Kehte Kehte
Khule Aankh Salle Alaa Kehte Kehte.
Girah...
Habeeb -E- Khuda Ka Nazara Karun Mai
Dilo Jaan Unpar Nisaara Karun Mai
Tere Dar Ke Hote Kahan Jaaun Pyaare
Kahan Apna Daman Pasaara Karun Mai.
Sher...
Sitham Pe Sitham Sehgaye Dushmanon Ke
Habeebe Khuda Ya Khuda Kehte Kehte.
Guzarte The Kaanton Bhare Raaston Se
Rasoole Khuda, Marhaba Kehte Kehte.
Huwe Surkhuru Aap Har Muarkey Me
Faqat Rabbana Rabbana Kehte Kehte.
Shahe Har Do Aalam Ne Naane Jawee Se
Bhara Pet Shukre Khuda Kehte Kehte.
Andheron Me Hamne Kiya Hai Ujaala
Aqidath Se Noorul Huda Kehte Kehte.
Dile Muztarib Ko Qaraar Aagaya Hai
Shab -O- Roz Ya Mujtaba Kehte Kehte.
Musibat Ke Maaron Kathin Manzilon Se
Guzarjaao Ya Mustafa Kehte Kehte.
Kate Kaash Iqbaal Ab Umr Saari
Faqat Naate Khairul Wara Kehte Kehte.