Mai Bura Hoon Ya Bhala Hoon

Mai Bura Hoon Ya Bhala Hoon

Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab

Mai Bura Hoon Ya Bhala Hoon
Meri Laaj Ko Nibhana
Mujhe Jaanta Hai Aaqa
Tere Naam Se Zamana.

Mujhe Iss Ka Gham Nahi Hai
Ke Badal Gaya Zamana
Meri Zindagi Hai Tumse
Kahin Tum Badal Na Jaana.

Ghame Aashiqui Se Pehle
Mujhe Kaun Jaanta Tha
Teri Yaad Ne Banadi
Meri Zindagi Fasana.

Chaukhat Pe Aagaya Hoon
Sarkar Aaj Sunlo
Meri Dukh Bhari Kahani
Mera Dukh Bhara Fasana.

Tu Mambaye Ataa Hai
Ke Pukar Utha Zamana
Tu Karam Nawaziyon Ki
Ke Karam Ka Kya Thikana.

Tere Naam Se Zahoori
Mujhe Jaanti Hai Duniya
Tera Hogaya Hoon Jabse
Mera Hogaya Zamana.

More from Naat -E- Shareef

More kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi