Wo Mazhare Subhan Jo Zaahir Me Hai Insaan
Wo Mazhare Subhan Jo Zaahir Me Hai Insaan
Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab
Wo Mazhare Subhan Jo Zaahir Me Hai Insaan
Qari Nazar Aata Hai Haqiqath Me Hai Quran.
Ummat Me Hai Uski Ye Hai Allah Ka Ehsaan
"Ham Ummati Hote" Jo Tha Nabiyon Ka Ye Armaan.
Dekha Hai Kisi Ne Jo Khuda Ko To Bataaye
Aaye Hain Nazar Jisko Nazar Sayyade Zeeshan.
Hai Saaf Ye Farmaan "Wama Yantiqu" Rab Ka
Uska Har Ek Irshaad Hai Allah Ka Farmaan.
Mushkil Se Bhi Mushkil Hai Bohot Marifath Uski
Aasan Se Bhi Aasan Hai Allah Ka Irfaan.
Alfaaz Nahi Milte Sana Ke Liye Jiski
Jibreele Ameen Jis Dare Aqdas Ka Hai Darbaan.
Farmatin Hai Kya Ayesha Siddiqa Ye Sunlo
Sarkar Mera Asl Me Hai Bolta Quran.
Ye Maslake "Al Faqr" Hai Jiske Liye Maqtis
Baitha Hai Chataayi Pe Do Aalam Ka Wo Sultan.
Hai Ek Qadam Farsh Par Ek Arshe Bareen Par
Aajiz Hai Tasawwur To Hai Ye Aql Bhi Hairaan.
Mehboob -O- Muhib Me Jo Hua Qurbe "Aou Adna"
Hai Mezbaan Jis Shaan Ka Mehmaan Bhi Hai Zeeshan.
Allah Se Waasil Hai To Bandon Me Hai Shaamil
Makhlooq Sana Khwan Hai To Khaliq Bhi Sana Khwan.
Malja Hai Wo Maawa Hai Anees -Ul- Ghuraba Hai
Hai Uski Sada Chashme Karam Sooe Ghareeban.
Bichdi Hui Maklooq Ko Khaliq Se Milaya
Uss Rehmate Aalam Ka Hai Kitna Bada Ehsaan.
Teyees Baras Hi To Hai Kaunain Ka Haasil
Mehsoos Yehi Karta Hai Har Sahibe Imaan.
Sarkar Mere Hai Ye Tera Bismil -E- Shaida
Har Ek Adaa Par Teri Sau Jaan Se Qurban.