Mili Na Daulate Irfaan Bajuz Nigaahe Ali
Mili Na Daulate Irfaan Bajuz Nigaahe Ali
Kalaam of Aazam Chishti
Mili Na Daulate Irfaan Bajuz Nigaahe Ali
Ameene Raaze Nabuwwat Hai Bargaahe Ali.
Padi Hai Rooe Nabi Par Kuch Iss Aqeedat Se
Ke Aaj Tak Na Kisi Par Uthi Nigaahe Ali.
Fidaye Toor Ho Kyun Kar Gadaaye Kooe Najaf
Hazaar Toor Badamaan Hai Jalwa Gaahe Ali.
Gunahgaron Ki Baqshish Ke Do Wasile Hain
Nigaahe Mustafawi Lutfe Be Panaahe Ali.
Shifa Naseeb Ke Mere Liye Udaa Laayi
Hawa -E- Kooe Muhammad Ghubaare Raahe Ali.
Hoon Unke Zikr Se Aaraishe Sukhan Warna
Mere Khayaal Se Bartar Hai Izzo Jaahe Ali.
Uthega Arsaye Mehshar Me Surkhuru Aazam
Gadaye Koonchaye Shabbir -O- Khair Khwaahe Ali.