Ya Jeelani Shaiallillah
Ya Jeelani Shaiallillah
Kalaam of Khaleeq
Ya Jeelani Shaiallillah
Ya Jeelani Shaiallillah
Ya Jeelani Shaiallillah
Al Madad Bi Iznillah.
Aapka Qaadim Hoon Aaqa
Ya Jeelani Shaiallillah
Kije Inayath Behre Khuda
Ya Jeelani Shaiallillah.
Ham To Tere Kehlaate Hain
Iss Par Phir Itraate Hain
Naam Tera Chillaate Hain
Ya Jeelani Shaiallillah.
Gharqe Gunaah Hain Ham Shaaha
Tu Hi Bacha Aalijaaha
Sehl Tujhe Gar Tu Chaaha
Ya Jeelani Shaiallillah.
Hijr Me Maare Jaate Hain
Aap Na Hazrath Aate Hain
Aur Na Hamein Bulwaate Hain
Ya Jeelani Shaiallillah.
Jald Bulalije Baghdad
Kijiye Iss Nashaad Ko Shaad
Hind Me Mitti Hai Barbaad
Ya Jeelani Shaiallillah.
Apne Mureedon Ke Sar Par
Haath Tera Ho Gar Rehbar
Phir Unhe Kya Khaufe Mehshar
Ya Jeelani Shaiallillah.
Behre Gunahon Me Hai Ghareeq
Khadim Tera Hai Jo Khaleeq
Tere Siwa Hai Kaun Rafeeq
Ya Jeelani Shaiallillah.