Fazle Rabbul Ulaa Aur Kya Chahiye
Fazle Rabbul Ulaa Aur Kya Chahiye
Fazle Rabbul Ulaa Aur Kya Chahiye
Milgaye Mustafa Aur Kya Chahiye.
Damane Mustafa Jinke Haathon Me Hai
Unko Roze Jaza Aur Kya Chahiye.
Gumbade Sabz Khwabon Me Aane Laga
Haazri Ka Sila Aur Kya Chahiye.
Bheek Ke Saath Hi Unke Darbar Se
Milrahi Hai Dua Aur Kya Chahiye.
Ye Jabeen Aur Riyazul Jinaan Ki Zameen
Ab Qaza Ke Siwa Aur Kya Chahiye.
Hai Sikandar Sana Khwane Shaahe Umam
Izzat -O- Martaba Aur Kya Chahiye.