Jab Masjide Nabawi Ke Minaar Nazar Aaye
Jab Masjide Nabawi Ke Minaar Nazar Aaye
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Jab Masjide Nabawi Ke Minaar Nazar Aaye
Allah Ki Rehmath Ke Aasaar Nazar Aaye.
Manzar Ho Bayaan Kaise Alfaaz Nahi Milte
Jis Waqt Muhammad Ka Darbar Nazar Aaye.
Bas Yaad Raha Itna Seene Se Lagi Jaali
Phir Yaad Nahi Kya Kya Anwaar Nazar Aaye.
Dukh Dard Ke Maaron Ko Gham Yaad Nahi Rehte
Jab Saamne Aankhon Ke Ghamkhwar Nazar Aaye.
Makke Ki Fazaon Me Taiba Ki Hawaon Me
Hamne To Jidhar Dekha Sarkar Nazar Aaye.
Chord Aaya Zahoori Mai Dilo Jaan Madine Me
Ab Jeena Yahan Mujhko Dushwaar Nazar Aaye.