Zameen -O- Aasman Jhoome Aqidath Ka Salaam Aaya
Zameen -O- Aasman Jhoome Aqidath Ka Salaam Aaya
Kalaam of Muhammad Ali Zahoori Sahab
Zameen -O- Aasman Jhoome Aqidath Ka Salaam Aaya
Zubaan Pe Meri Jab Bhi Ahmade Mursal Ka Naama Aaya.
Nabi Bankar Imaam Aaye The Apni Apni Ummat Ke
Magar Mera Nabi Bankar Rasoolon Ka Imaam Aaya.
Faqat Islam Duniya Me Ye Manzar Pesh Karta Hai
Ke Aaqa Chal Diye Paidal Sawaari Par Ghulam Aaya.
Meri Qismat Me Likhi Thi Muhammad Ki Sana Khwani
Mere Hisse Me Bhi Yoon Saaqiye Kausar Ka Jaam Aaya.
Sambhal Aye Jazbaye Deedar Ye Arze Madina Hai
Nigaahe Shouq Ab Sar Ko Jhukane Ka Maqaam Aaya.
Zahoori Zindagi Me Jab Kabhi Mushkil Padi Mujhko
Bajuz Hubbe Nabi Koi Na Jazba Aur Kaam Aaya.