Ali Noore Payambar Mazhare Shaane Payambar
Ali Noore Payambar Mazhare Shaane Payambar
Kalaam of Naseer Uddin Bismil Sahab
Ali Noore Payambar Mazhare Shaane Payambar Hain
Nabi Hain Shehre Ilme Haq Ali Uss Shehr Ka Dar Hain.
Nusairi Ke Aqeede Se Koi Matlab Nahi Hamko
Magar Ham Ahle Imaan Ke Liye Wo Banda Parwar Hain.
Wiladath Aur Shahadath Dono Hain Allah Ke Ghar Me
Imaame Auliya Hain Zeenate Mehrab -O- Mimbar Hain.
Muhammad Jiske Maula Hain Ali Bhi Uske Maula Hain
Zubaane Mustafa Se Iss Uluhiyyath Pe Haidar Hain.
Ali Ko Dekhna Ho To Nabi Ki Shakl Me Dekho
Bayaane Mustafa Se Lahmuka Lahmi Ke Mazhar Hain.
Pukaaro Mushkilon Me Aur Phir Unka Karam Dekho
Samajhme Aayega Kis Shaan Ke Mehboobe Daawar Hain.
Jise Kehte Hain Bismil Wo To Hai Parwardaye Nisbath
Wirasath Se Bhi Nalaine Muqaddas Uske Sar Par Hain.