Hamko Apni Talab Se Siwa Chahiye

Hamko Apni Talab Se Siwa Chahiye

Hamko Apni Talab Se Siwa Chahiye
Aap Jaise Hain Waisi Ataa Chahiye.

Kyun Kahun Ye Ataa Wo Ataa Chahiye
Aapko Ilm Hai Hamko Kya Chahiye.

Bhar Ke Jholi Meri Mere Sarkar Ne
Muskura Kar Kaha Aur Kya Chahiye.

Ek Qadam Bhi Na Ham Chal Sakeinge Huzoor
Har Qadam Par Karam Aapka Chahiye.

Hashr Ki Chilchilati Hui Dhoop Me
Unke Damaan Ki Thandi Hawa Chahiye.

Apne Qadmon Ka Dhowan Ataa Kijiye
Ham Mareezon Ko Aabe Shifa Chahiye.

Ishq Me Aapke Ham Tadapte To Hain
Har Tadap Me Bilaali Adaa Chahiye.

Aur Koi Bhi Apni Tamanna Nahi
Unke Pyaaron Ki Pyaari Ada Chahiye.

Nematein Dono Aalam Ki Deke Mujhe
Puchte Hain Tujhe Aur Kya Chahiye.

Aap Apni Ghulami Ki Dedein Sanad
Isse Badhkar Hame Aur Kya Chahiye.

Sabz Gumbad Ki Hamsayagi Baqshden
Ye Musalsal Karam Aye Khuda Chahiye

More from Naat -E- Shareef

  • Aaj Ashk Mere Naat Sunayein To Ajab Kya
  • Aouj Paana Mere Huzoor Ka Hai
  • Aaj Sik Mitran Di Wadheriye
  • Aankhon Ka Taara Naame Muhammad
  • Aansu Meri Aankhon Me Nahi Aaye Hue Hain
  • Aap Sa Dono Jahan Me Nazar Aaya Hi Nahi