Nahi Koi Siwa Tere Hamara Ya Rasoolallah

Nahi Koi Siwa Tere Hamara Ya Rasoolallah

Kalaam of Hazrath Hussain Shujauddin Siddiqui (Izzath) R.a

Nahi Koi Siwa Tere Hamara Ya Rasoolallah
Hai Tu Hi To Ghareebon Ka Sahara Ya Rasoolallah.

Karam Farmaiye Mujhpar Khudara Ya Rasoolallah
Gunahgaaron Ke Beshak Ho Sahara Ya Rasoolallah.

Har Ek Me Tera Jalwa Hai Ye Sab Tera Tamasha Hai
Hai Tera Hi Har Ek Shai Me Nazara Ya Rasoolallah.

Shafiye Do Sara Tum Ho Habeebe Kibriya Tum Ho
Karam Se Tumko Allah Ne Sawara Ya Rasoolallah.

Tumhari Yaad Jis Dil Me Ho Wo Dozakh Me Kyun Jaaye
Khuda Ko Ho Bhala Kaise Gawara Ya Rasoolallah.

Dikhadije Kabhi To Rooe Anwar Khwab Me Aakar
Judayi Me Ye Dil Hai Paara Paara Ya Rasoolallah.

Tumhare Waaste Hairaan Pareshan Hoon Mai Muddat Se
Badi Aafat Musibath Ka Hoon Maara Ya Rasoolallah.

Balayein Chaar Janib Hain Padi Hain Mushkilein Sar Par
Madad Farmaiye Meri Khudara Ya Rasoolallah.

Bajuz Tere Nahi Koi Waseela Zindagani Ka
Hai Teri Bheek Par Mera Guzara Ya Rasoolallah.

Mai Bhoolun Bhi To Tum Mujhko Na Bhoolo Ya Rasoolallah
Tumhara Hoon Tumhara Hoon Tumhara Ya Rasoolallah.

Tumhara Naam Leta Hoon Tumhi Par Jaan Deta Hoon
Tumhi To Ho Meri Aankhon Ka Taara Ya Rasoolallah.

Mujhe Darbare Aqdas Me Bulakar Sarfarazi Kar
Karam Ho Mujhpe Aalam Aashkaara Ya Rasoolallah.

Tere Dar Par Sada Deta Hoon Hokar Aajiz –O- Khasta
Mujhe Pyaaron Ka Apne De Utaara Ya Rasoolallah.

Meri Aankhon Me Aajao Mere Dil Me Samajaao
Ke Hoon Waarafta –E- Surath Tumhara Ya Rasoolallah.

Azal Se Aapka Shaida Hai Izzath Aapka Banda
Karam Ki Ek Nazar Uss Par Khudara Ya Rasoolallah.

More from Gulzaar -E- Shah

More kalaam of Hazrath Hussain Shujauddin Siddiqui (Izzath) R.a

  • Aaj Sandal Lagaungi
  • Aaj Tona Mai Aisa Sunaun Sakhi
  • Aamaal Mere The Mujhe Be Maut Ke Maare
  • Aastan Par Aapke Hai Jiska Sar Ya Mustafa
  • Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
  • Adna Ghulam Hoon Mai Shahe Dastageer Ka