Baithe Hain Log Iss Tarah Uss Ghar Ke Saamne
Baithe Hain Log Iss Tarah Uss Ghar Ke Saamne
Kalaam of Amjad Hyderabadi Sahab
Baithe Hain Log Iss Tarah Uss Ghar Ke Saamne
Jaise Abhi Wo Dekheinge Aakar Ke Saamne.
Be Naam -O- Be Nishaan Hua Har Koi Wahan
Qatre Ki Kya Bisaat Hai Saghar Ke Saamne.
Aakhein Hon Band Phir Bhi Nazar Aaye Saaf Saaf
Phaili Hai Kaisi Raushni Manzar Ke Saamne.
Ye Bazme Shash Jihath Bhi Hai Gum Sum Hamare Saath
Kis Tarha Arz Kijiye Jauhar Ke Saamne.
Iss Tarha Aake Beech Me Thaira Hai Aayina
Shashdar Hain Aks Apne Hi Paikar Ke Saamne.
Amjad Hai Ab To Aato Pahar Ek Hi Dua
Sharminda Hon Na Daaware Mehshar Ke Saamne.