Apna Haram Dikhade Dono Jahan Ke Maalik
Apna Haram Dikhade Dono Jahan Ke Maalik
Kalaam of Nisar Ali Ujagar
Apna Haram Dikhade Dono Jahan Ke Maalik
Qismat Meri Jagade Dono Jahan Ke Maalik.
Barson Se Aarzu Hai Taiba Ki Justaju Hai
Ek Baar Hi Dikhade Dono Jahan Ke Maalik.
Ishqe Nabi Ki Khushbu Kariya -E- Jaan Me Rakhde
Ulfath Me Dil Basaa De Dono Jahan Ke Maalik.
Duniya -O- Aaqirath Ke Har Gham Se Tu Bari Hai
Mushda Mujhe Sunade Dono Jahan Ke Maalik.
Duniya Ke Har Sitham Se Uqba Ke Har Alam Se
Daman Mera Chupade Dono Jahan Ke Maalik.
Baitha Nabi Ke Dar Par Jis Waqt Ye Ujaagar
Uss Waqt Isse Panah De Dono Jahan Ke Maalik.