Sab Sana Hai Hazrate Rahman Ko

Sab Sana Hai Hazrate Rahman Ko

Sab Sana Hai Hazrate Rahman Ko
Jaan -O- Aql -O- Deen Diya Insaan Ko.

Aql Dekar Fiqh Samjhaya Hamein
Raah Wo Neki Ki Batlaya Hamein.

Sab Pe Hi Uski Ita'at Farz Hai
Aur Ibadat Uski Sab Pe Farz Hai.

Shukre Haq Ham Par Nabi Bheja Khuda
Naame Paak Unka Muhammad Mustafa.

Sab Bani Aadam Ke Wo Sardaar Hain
Balke Sab Aalam Ke Wo Salaar Hain.

Jinno Insaan Ke Wohi Hain Rehnuma
Surma Hai Aankhon Ka Unki Khaake Paa.

Bhejiyo Unpar Duroode Be Hisaab
Aal –O- Ahle Bait Aur Saare Sahaab.

Khaas Unme Jo Khalifa Chaar Hain
Sab Sahaba Beech Wo Sardaar Hain.

Hazrate Bu Bakr Baad Unke Umar
Baad Usman –O- Ali Hain Raahbar.

Sab Se Raazi Howe Haq Jallo Ulaa
Aabe Rehmath Unpe Barsaawe Sada.

Jo Ke Talib Hai Khuda Ki Raah Ka
Hain Imaame Aazam Uske Peshwa.

Wo Khuda Ki Raah Ke Raushan Charagh
Deene Paighambar Hai Unse Baagh Baagh.

Rehmath Apni Unpe Haq Naazil Kare
Qabr Unki Noor –O- Khushbu Se Bhare.

Ye Masaail Seekhna Be Shubh –O- Shak
Farz Hai Sab Mominon Par Yak Ba Yak.

Unko Maine Jam'a Beeton Me Kiya
Aur Har Ek Ko Jaaye Par Uss Se Likha.

Iss Risaale Ka Khulasa Naam Hai
Iss Me Sab Ahkaam -E- Deen Islam Hai.

Sab Musalmanon Ko De Taufeeq Rab
Taa Karein In Mas'alon Ko Yaad Sab.

More from Dua Munajaath Nazm

  • Apna Haram Dikhade Dono Jahan Ke Maalik
  • Aye Meri Maa Salamath Rahe Tu
  • Aye Sabz Gumbad Waale Manzaoor Dua Karna
  • Darde Dil Kar Mujhe Ataa Ya Rab
  • Duniya Ke Aye Musafir
  • Eidi Ataa Karein (Eid Special)