Marhaba Aaj Chalenge Shahe Abraar Ke Paas
Marhaba Aaj Chalenge Shahe Abraar Ke Paas
Marhaba Aaj Chalenge Shahe Abraar Ke Paas
InshaAllah Pohonch Jayeinge Sarkar Ke Paas.
Mil Chuka Izn Mubarak Ho Madine Ka Safar
Khafile Waalo Chalen Dilbaro Dildaar Ke Paas.
Mai Gunahgaar Gunahon Ke Siwa Kya Laata
Nekiyan Hoti Hain Sarkar Nikokaar Ke Paas.
Sar Bhi Kham Aankh Bhi Nam Sharm Se Paani Paani
Kya Karun Nazr Nahi Kuch Bhi Gunahgaar Ke Paas.
Khoob Ro Ro Ke Wahan Gham Ka Fasana Kehna
Ghamzadon Aao Chalen Ahmade Muqthar Ke Paas.
Dono Aalam Ki Bhalayi Ka Sawaali Bankar
Ek Bhikari Hai Khada Aapke Darbar Ke Paas.
Qabr Me Yoon Hi Nakeeron Mai Nahi Aa Pohoncha
Hai Ghulami Ki Sanad Dekhlo Attar Ke Paas.