Mai Tumhara Hoon Tumhara Hoon Tumhara Khwaja

Mai Tumhara Hoon Tumhara Hoon Tumhara

Kalaam of Hazrath Naatiq R.a

Mai Tumhara Hoon Tumhara Hoon Tumhara Khwaja
Bas Yehi Ek Hai Jeene Ka Sahara Khwaja.

Paas Kuch Bhi Nahi Jo Nazr Karun Aapko Mai
Dile Betaab Hai Nazrana Tumhara Khwaja.

Meri Baleen Pe Chale Aaye Madad Ko Fauran
Maine Be Haal Jo Ho Ho Ke Pukara Khwaja.

Khali Jholi Ko Liye Dar Pe Khada Hai Naatiq
Dijiye Dijiye Laalon Ka Utaara Khwaja.

More from Gulzaar -E- Shah

More kalaam of Hazrath Naatiq R.a

  • Aaj Sandal Lagaungi
  • Aaj Tona Mai Aisa Sunaun Sakhi
  • Aamaal Mere The Mujhe Be Maut Ke Maare
  • Aastan Par Aapke Hai Jiska Sar Ya Mustafa
  • Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
  • Adna Ghulam Hoon Mai Shahe Dastageer Ka