Allah Allah Allah Hoo

Allah Allah Allah Hoo

Kalaam of Hazrath Shahinshah Miyan (Shahinshah) R.a

Har Patte Me Tera Zahoor
Teri Sifaat Aur Tera Noor
Chupkar Bhi Zaahir Hai Tu
Allah Allah Allah Hoo.

Sach Poocho To Roohe Gulaab
Mohr Ki Asli Aab -O- Taab
Teri Chamak Teri Khushbu
Allah Allah Allah Hoo.

Raaz Yehi Hai Bas Mera
Akse Tasawwur Hoon Tera
Hoon Mai Jab Tak Rakhe Tu
Allah Allah Allah Hoo.

Aisi Aankhein De Mujhko
Dekh Sakoon Mai Bhi Tujhko
Mera Maseeha Banke Tu
Allah Allah Allah Hoo.

Aayine Hain Chaar To Kya
Dhoka Aye Nadaan Na Kha
Yaar Ke Jalwe Chaaron Su
Allah Allah Allah Hoo.

Laakhon Hain Duniya Me Haseen
Mere Miyan Ki Baat Nahi
Kya Khush Khu Aur Kya Khush Ru
Allah Allah Allah Hoo.

Qiblaye Aalam Naam Liye
Faiz Rasaani Kaam Liye
Kaun Ye Aaya Hai Parbhu
Allah Allah Allah Hoo.

Abdul Qadir Saani Hai
Aur Nafsur Rahmani Hai
Khwaja Mora Bada Guru
Allah Allah Allah Hoo.

Sadqa Mehbooballah Ka
Bharde Ham Sab Ka Kaansa
O Ann Daata O Parbhu
Allah Allah Allah Hoo.

Jisme Shahinshah Basjaaye
Mehke Aur Phir Mehkaaye
Uski Zulfon Ki Khushbu
Allah Allah Allah Hoo.

More from Gulzaar -E- Shah

More kalaam of Hazrath Shahinshah Miyan (Shahinshah) R.a

  • Aaj Sandal Lagaungi
  • Aaj Tona Mai Aisa Sunaun Sakhi
  • Aamaal Mere The Mujhe Be Maut Ke Maare
  • Aastan Par Aapke Hai Jiska Sar Ya Mustafa
  • Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
  • Adna Ghulam Hoon Mai Shahe Dastageer Ka