Mere Jeene Ko Madine Ki Faza Hona Hai

Mere Jeene Ko Madine Ki Faza Hona Hai

Kalaam of Hazrath Pasha Miyan (Aarif) R.a

Mere Jeene Ko Madine Ki Faza Hona Hai
Mere Maalik Mujhe Wo Aabe Baqa Hona Hai.

Kuch Bhi Fatwa Sahi Aye Zahide Nabina Tera
Hamko Khaake Dare Mehboobe Khuda Hona Hai.

Surma -E- Noore Basar Apna Banaane Ke Liye
Apne Sarkar Ki Khaake Kafe Paa Hona Hai.

Aankhein Kholi Hain Muhabbath Me Tumhari Aaqa
Kisko Sarkar Ke Qadmon Se Juda Hona Hai.

Wo Qadam Zehmate Jalwa Sahi Aye Husne Qadam
Aapke Chaahne Waalon Ka Bhala Hona Hai.

Isse Badhkar Nahi Kuch Aarzue Dil Wallah
Dafn Ko Mere Madine Me Jagah Hona Hai.

Dang Hojayenge Sab Aisa Udoonga Aarif
Mujhko Sarkar Ke Koonche Ki Hawa Hona Hai.

More from Gulzaar -E- Shah

More kalaam of Hazrath Pasha Miyan (Aarif) R.a

  • Aaj Sandal Lagaungi
  • Aaj Tona Mai Aisa Sunaun Sakhi
  • Aamaal Mere The Mujhe Be Maut Ke Maare
  • Aastan Par Aapke Hai Jiska Sar Ya Mustafa
  • Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
  • Adna Ghulam Hoon Mai Shahe Dastageer Ka