Kamaale Husn Kamaale Shabaab Paata Hoon

Kamaale Husn Kamaale Shabaab Paata Hoon

Kalaam of Hazrath Badeshah Hussaini (Layeeq) R.a

Kamaale Husn Kamaale Shabaab Paata Hoon
Mai Tum Me Shane Risalath Ma'aab Paata Hoon.

Hareem -E- Dil Ki Meri Jagmaga Uthi Duniya
Mai Apne Aap Ke Ek Aaftaab Paata Hoon.

Karam Ki Had Hi Nahi Koi Shaahe Jeelan Ke
Wo Be Hisaab Hain Mai Be Hisaab Paata Hoon.

Kahan Ka Misl Ke Unki Misaal Bhi To Nahi
Unhi Ko Unka Akela Jawaab Paata Hoon.

Kisi Ka Darde Muhabbat Ka Ye Bhi Sadqa Hai
Jahan -E- Dil Me Jo Ek Inqelaab Paata Hoon...

Mai Pee Na Jaaun To Phir Kya Karun In Aankhon Ka
Nigahe Yaar Ki Khaalis Sharaab Paata Hoon.

Wohi To Sajda Meri Zindagi Ka Hasil Hai
Tumhare Dar Se Jise Intesaab Paata Hoon.

Meri Nigaah Me Baghdad Bhi Najaf Hai Layeeq
Yahan Bhi Faize Dare Bu Turaab Paata Hoon.

More from Gulzaar -E- Shah

More kalaam of Hazrath Badeshah Hussaini (Layeeq) R.a

  • Aaj Sandal Lagaungi
  • Aaj Tona Mai Aisa Sunaun Sakhi
  • Aamaal Mere The Mujhe Be Maut Ke Maare
  • Aastan Par Aapke Hai Jiska Sar Ya Mustafa
  • Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
  • Adna Ghulam Hoon Mai Shahe Dastageer Ka