Taiba Ke Rangeele Baanke Miyan

Taiba Ke Rangeele Baanke Miyan

Kalaam of Hazrath Mir Aazam Ali (Shaaiq) R.a

Taiba Ke Rangeele Baanke Miyan
Mora Chand Sa Mukh Dikhla Jaana
Mai Barha Diwani Tadpat Hoon
Zara Aajana Zara Aajana.

Aye Baade Saba Chun Madina Ravi
Pohonchade Wahan Ye Arzi Meri
Tore Charnon Se Kab Tak Door Rahun
Ab Der Na Kar Bulwa Jaana.

Dukh Dard Ke Maare Tadpat Hoon
Maanat Nahi Dil Furqat Me Tere
Aye Kamli Waale Saayin Mere
Roothe Ko Zara Samjha Jaana.

Sab Bhoolgaya Kuch Yaad Nahi
Aane Ki Wahan Kuch Aas Nahi
Ab Piuo Ki nagariYa Milti Nahi
Mori Baiyyan Pakad Ke Bata Jaana.

Mehboobe Khuda Ho Shaane Khuda
Hai Wasf Tera Lau Laaka Lama
Allah Ki Qasam Maula Ki Qasam
Jisne Bhi Tumhe Jaana Jaana.

Har Ghat Me Hai Tera Rang Racho
Zaahir Mai Madina Me Hain Baso
Tere Husn Ka Sadqa Saayin Mere
Wo Roop Hame Bhi Dikha Jaana.

Bekas Bebas Qadim Tera
Aasi Qaati Naadim Tera
Hasnain Ka Sadqa Shaaiq Par
Kirpa Ki Nazer Farma Jaana.

More from Gulzaar -E- Shah

More kalaam of Hazrath Mir Aazam Ali (Shaaiq) R.a

  • Aaj Sandal Lagaungi
  • Aaj Tona Mai Aisa Sunaun Sakhi
  • Aamaal Mere The Mujhe Be Maut Ke Maare
  • Aastan Par Aapke Hai Jiska Sar Ya Mustafa
  • Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
  • Adna Ghulam Hoon Mai Shahe Dastageer Ka