Mushda -E- Taskeen Faza Ganje Shakar Ka Urs Hai
Mushda -E- Taskeen Faza Ganje Shakar Ka Urs Hai
Kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab
Mushda -E- Taskeen Faza Ganje Shakar Ka Urs Hai
Ghamzadon Ka Aasra Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Zuhd Me Kya Dhoom Hai Ganje Shakar Ki Chaarsu
Mehfile Hasti Me Kya Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Jisko Ho Shouqe Liqa Aata Hai Wo Aakhir Yahin
Iss Tadap Ki Inteha Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Ek Bahishte Amn Hai Darwaza -E- Baba Fareed
Baaise Daf -E- Bala Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Umr Bhar Jisne Milaaya Abd Ko Mabood Se
Aaj Uss Marde Khuda Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Log Aate Hain Yahan Haq Se Ta'alluq Jodne
Darse Paimane Wafa Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Paaun Dharne Ko Jagah Milti Nahi Hai Shehr Me
Bheed Ye Kaisi Hai Kya Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Ya To Phir Baghdad Me Hai Bargahe Dastageer
Ahle Dil Ki Eid Ya Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Kheenchta Tha Mujhko Rizwan Khuld Ki Janib Naseer
Wo To Maine Kehdiya Ganje Shakar Ka Urs Hai.