Hue Hain Deeda -O- Dil Mehwe Shaane Ganje Shakar

Hue Hain Deeda -O- Dil Mehwe Shaane Ganje Shakar

Kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab

Hue Hain Deeda -O- Dil Mehwe Shaane Ganje Shakar
Zahe Naseeb Mila Aastane Ganje Shakar.

Wo Bheed Dekhiye Wo Aastane Ganje Shakar
Nazar Ke Saamne Hain Zaairane Ganje Shakar.

Falak Pe Aouj -E- Suraiyya Nishaane Ganje Shakar
Kul Auliya Me Niraali Hai Shaane Ganje Shakar.

Mujhe Hi Fakhr Nahi Hai Niyaz Mandi Ka
Hain Saare Jinno Malak Madha Khwane Ganje Shakar.

Sada Bahaar Hain Iske Tamaam Ghuncha -O- Gul
Khizaan Ki Zad Me Nahi Gulsitane Ganje Shakar.

Mithaas Shehed Ki Ek Ek Harf Me Unke
Nabaat -O- Qand Se Shireen Zabane Ganje Shakar.

Ajeeb Bheed Hai Qasre Jinaan Pe Hashr Numa
Jidhar Bhi Dekho Udhar Aashiqane Ganje Shakar.

Lateef Tar Hain Urooj -O- Nuzool Ki Baatein
Sunaye Jaaye Koi Dastaane Ganje Shakar.

Husoole Qurbe Ilaahi Thi Manzile Maqsood
Ruka Na Aur Kahin Karwaane Ganje Shakar.

Inhi Ke Baagh Ke Gul Sabir -O- Nizamuddin
Base Hain Dil Me mere Dilbarane Ganje Shakar.

Jo Inke Dost Hain Wo Surkhuru Jahan Me Hai
Zaleel -O- Khwaar Hue Dushmanane Ganje Shakar.

Jidhar Bhi Dekhiye Hai Saamne Tajalli -E- Zaat
Jahane Toor Hai Yaksar Jahane Ganje Shakar.

Naseer Apni Si Koshish Qalam Ne Ki Lekin
Tamaam Ho Na Saki Dastaane Ganje Shakar.

More from Manaqib Mix

More kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab

  • Hamari Hai Dua Shahe Ghousul Wara
  • Aa Tujhko Bataun Mai Irfaane Abu Talib
  • Abbas Tere Dar Sa Duniya Me Dar Kahan
  • Ajmer Meri Manzil Baghdad Hai Thikana
  • Allah Muhammad Chaar Yaar
  • Ameere Hamza Ameere Hamza