Meri Hasti Ko Ataa Aisi Baqa Kar Ya Rab

Meri Hasti Ko Ataa Aisi Baqa Kar Ya Rab

Meri Hasti Ko Ataa Aisi Baqa Kar Ya Rab
Mujhko Sarkar Ki Ulfath Me Fana Kar Ya Rab.

Maujzan Behre Karam Meri Taraf Bhi Hojaye
Maine Maangi Hai Dua Ashk Bahaa Kar Ya Rab.

Umr Katjaye Madine Ki Fazaon Me Meri
Yoon Karam Kar Wahin Rehjaun Mai Jaakar Ya Rab.

Tere Mehboob Ke Dar Par Mujhe Maut Aajaye
Sar Utha Paaun Na Mai Sar Ko Jhuka Kar Ya Rab.

Mere Sarkar Ke Qadmon Me Uthaya Jaaun
Hashr Iss Tarha Mera Roze Jaza Kar Ya Rab.

Hai Tamanna Mere Aaqa Mujhe Apna Kehdein
Iss Ghulami Ko Ye Meraj Ataa Kar Ya Rab.

Jumbishe Abru -E- Sarkar Hai Baqsha Jaaun
Khouf -O- Andesha -E- Mehshar Hai Riha Kar Ya Rab.

Midhate Sarware Aalam Mera Sarmaya Hai
Mere Har Harf Ko Pabandi -E- Sana Kar Ya Rab.

Shukr Hai Tera Ke Aarif Ko Gadayi De Di
Bandaye Dargahe Sarkar Bana Kar Ya Rab.

More from Dua Munajaath Nazm

  • Apna Haram Dikhade Dono Jahan Ke Maalik
  • Aye Meri Maa Salamath Rahe Tu
  • Aye Sabz Gumbad Waale Manzaoor Dua Karna
  • Darde Dil Kar Mujhe Ataa Ya Rab
  • Duniya Ke Aye Musafir
  • Eidi Ataa Karein (Eid Special)