Maalik Kiya Khuda Ne Use Do Jahan Ka

Maalik Kiya Khuda Ne Use Do Jahan Ka

Kalaam of Hazrath Khwaja Mahbooballah (Khulq) R.a

Maalik Kiya Khuda Ne Use Do Jahan Ka
Aisa Koi Rasool Bhi Hai Izzo Shaan Ka.

Masnad Lagi Hui Hai Mere Baadshah Ki
Uss Jaa Jahan Na Daql Ho Wehm -O- Gumaan Ka.

Tareef Aapki Na Karen Ham To Kya Karen
Ye To Ghiza Hai Dil Ki Maza Hai Zubaan Ka.

Kehdo Liwaye Hamd Ke Neeche Muqeem Hain
Pooche Koi Pata Jo Hamare Makaan Ka.

Apni Zameen -E- Dil Me Wo Raunaq Faza Hain Khulq
Jinke Qadam Se Faqr Badha Aasman Ka.

More from Gulzaar -E- Shah

More kalaam of Hazrath Khwaja Mahbooballah (Khulq) R.a

  • Aaj Sandal Lagaungi
  • Aaj Tona Mai Aisa Sunaun Sakhi
  • Aamaal Mere The Mujhe Be Maut Ke Maare
  • Aastan Par Aapke Hai Jiska Sar Ya Mustafa
  • Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
  • Adna Ghulam Hoon Mai Shahe Dastageer Ka