Noor Kya Aalam Me Phaila Hai Rasoolallah Ka

Noor Kya Aalam Me Phaila Hai Rasoolallah Ka

Kalaam of Hazrath Parwarish Ali Hussaini (Shah) R.a

Noor Kya Aalam Me Phaila Hai Rasoolallah Ka
Dil Mera Parwana Shaida Hai Rasoolallah Ka.

Ta'at -E- Hazrath Ko Haq ne Apni Ta'at Kehdiya
Doston Kya Rutba Aala Hai Rasoolallah Ka.

Kis Tarah Saaya Ho Jisme Paak Ka Aye Mominon
Saaya -E- Allah Sarapa Hai Rasoolallah Ka.

Arsh Se Hai Afzal -O- Aala Bilaa Shak Doston
Jiss Zameen Par Jism Aala Hai Rasoolallah Ka.

Jalwaye Aali Se Dekho Koi Shai Khaali Nahin
Noor Kya Taqseem Paaya Hai Rasoolallah Ka.

Hai Haqeeqat Me Ahadees Aur Quran Ek Hi
Jo Kalaame Haq Wo Kehna Hai Rasoolallah Ka.

Kuch Nahin Hai Ranje Duniya Aur Na Qaufe Aaqirath
Do Jahan Pe Ham Pe Saaya Hai Rasoolallah Ka.

Baqshde Ya Rab Tu Apne Shah Ko Rauze Jaza
Iss Ne Rauza Jaake Dekha Hai Rasoolallah Ka.

More from Gulzaar -E- Shah

More kalaam of Hazrath Parwarish Ali Hussaini (Shah) R.a

  • Aaj Sandal Lagaungi
  • Aaj Tona Mai Aisa Sunaun Sakhi
  • Aamaal Mere The Mujhe Be Maut Ke Maare
  • Aastan Par Aapke Hai Jiska Sar Ya Mustafa
  • Aaya Hoon Dar Par Aalooda Damaan
  • Adna Ghulam Hoon Mai Shahe Dastageer Ka