Har Cheez Se Aati Hai Sada Kaan Me Allah
Har Cheez Se Aati Hai Sada Kaan Me Allah
Kalaam of Hazrath Yahiya Pasha (Haaziq) R.a
Har Cheez Se Aati Hai Sada Kaan Me Allah
Hai Dil Me Mere Aur Meri Jaan Me Allah.
Shai Rag Se Wo Nazdeek Hai Ye Mai Nahi Kehta
Ye Baat To Farmata Hai Quran Me Allah.
Ho Chashme Baseerat To Nazar Aayega Har Su
Har Rang Me Har Roop Me Har Shaan Me Allah.
Dil Me Na Rahe Mere Koi Aur Tamanna
Baaqi Rahe Har Aarzu Armaan Me Allah.
Samjhun Na Kuch Aaye Mujhe Deewangi Aisi
Rehjaye Samajh Me Meri Pehchaan Me Allah.
Dar Asl Wohi Hai Meri Har Aarzu -E- Dil
Hai Haasile Armaan Mere Iqaan Me Allah.
Ham Ko To Nazar Iske Siwa Kuch Nahi Aata
Gulshan Me Hai Allah Biyabaan Me Allah.
Sote Me Bhi Bhoolun Na Tujhe Aye Mere Pyaare
Jaari Ho Zubaan Par Meri Har Aan Me Allah.
Irfane Nazar Ho To Nazar Aayega Haaziq
Har Sher Ke Andar Mere Deewan Me Allah.