Janasheen -E- Qutb -O- Dilbande Umar Ka Urs Hai
Janasheen -E- Qutb -O- Dilbande Umar Ka Urs Hai
Kalaam of Syed Naseer Uddin Naseer Sahab
Janasheen -E- Qutb -O- Dilbande Umar Ka Urs Hai
Aaj Zuhd -Ul- Ambiya Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Har Taraf Se Uthraha Hai Naraye Haq Ya Fareed
Kya Anokhi Shaan Kis Shaane Digar Ka Urs Hai.
Log Palkon Ki Tarah Saf Basta Hain Girde Mazaar
Khwaja Ajmeri Ke Manzoore Nazar Ka Urs Hai.
Chishtiyon Aao Zara Dekhein Ajodhan Ki Bahaar
Aouj Par Hain Raunaqein Kis Karrofar Ka Urs Hai.
Sajraha Hai Aaj Dulhan Ki Tarah Shehre Fareed
Noor Ki Barish Me Bheege Baam -O- Dar Ka Urs Hai.
Jiski Chaukhat Par Jhuki Dekhe Shahinshahon Ke Sar
Faqr Ki Duniya Ke Aise Tajwar Ka Urs Hai.
Ghouse -E- Aazam Ka Nazar Aata Hai Tauheedi Jalaal
Saare Urson Se Juda Ganje Shakar Ka Urs Hai.
Quadri Jalwon Me Shaamil Hain Fareedi Rangatein
Yoon Lage Hai Jaise Ye Apne Hi Ghar Ka Urs Hai.
Mujhse Gar Pooche Koi To Sham'a Ki Lau Par Naseer
Raqse Parwana Bhi Goya Lamha Bhar Ka Urs Hai.