Sune Kaun Qissa -E- Darde Dil
Sune Kaun Qissa -E- Darde Dil
Sune Kaun Qissa -E- Darde Dil
Mera Gham Gusaar Chala Gaya
Jise Aashnaaon Ka Paas Tha
Wo Wafa Shi'aar Chala Gaya.
Wohi Bazm Hai Wohi Dhoom Hai
Wohi Aashiqon Ka Hujoom Hai
Hai Kami To Bas Mere Chand Ki
Jo Tahe Mazaar Chala Gaya.
Wo Sukhan Shanaas Wo Doorbeen
Wo Gada Nawaz Wo Mahjabeen
Wo Haseen Wo Behre Uloome Deen
Mera Taajdaar Chala Gaya.
Kahan Ab Sukhan Me Wo Garmiyaan
Ke Nahi Raha Koi Qadrdaan
Kahan Ab Wo Shauq Me Mastiyaan
Ke Wo Pur Waqaar Chala Gaya.
Jise Mai Sunaata Tha Darde Dil
Wo Jo Puchta Tha Ghame Darun
Wo Gada Nawaz Bichad Gaya
Wo Ataa Shi'aar Chala Gaya.
Bahe Kyun Naseer Na Ashke Gham
Rahe Kyun Na Lab Pe Mere Fughan
Hamein Beqaraar Wo Chord Kar
Sare Rah Guzaar Chala Gaya.