Noore Mutlaq Ki Hain Tanweer Muhammad Siddiq
Noore Mutlaq Ki Hain Tanweer Muhammad Siddiq
Kalaam of Hazrath Chand Pasha (Mohi) R.a
Noore Mutlaq Ki Hain Tanweer Muhammad Siddiq
Sarware Deen Ki Hain Tasweer Muhammad Siddiq.
Ho Karam Mujhpe Bhi Ya Peer Muhammad Siddiq
Ab Badal Do Meri Taqdeer Muhammad Siddiq.
Dang Hain Jinno Bashar Hooro Malak Shamso Qamar
Aapki Dekh Ke Tasweer Muhammad Siddiq.
Aapke Dar Pe Jabeen Saayi Ka Haasil Hai Sharaf
Aouj Par Hai Meri Taqdeer Muhammad Siddiq.
Lashkar –E- Ranjo Alam Badhta Chala Jaata Hai
Nikle Ab Miyaan Se Shamsheer Muhammad Siddiq.
Aye Mohi Khauf Hi Kya Donon Jahan Me Mujhko
Jab Ke Haami Hain Mere Peer Muhammad Siddiq.