Dil -O- Jaan Me Aisa Samaye Madina
Dil -O- Jaan Me Aisa Samaye Madina
Kalaam of Hazrath Abdul Muqtadir Siddiqui (Fazl) R.a
Dil -O- Jaan Me Aisa Samaye Madina
Nazar Kuch Na Aaye Siwaye Madina.
Bhula Payeinge Kya Fazaye Madina
Nigaahon Me Hai Jalwa Haaye Madina.
Madina Hi Sarmaya Hai Zindagi Ka
Hai Sab Kuch Hamara Fidaye Madina.
Yahan Noore Kul Ke Qadam Zoofishan Hain
Na Kyun Raushni Ho Nahaye Madina.
Mehekti Hai Kauno Makaan Ki Fazayein
Lehekti Hai Jab Bhi Hawaye Madina.
Lubhayein Use Kya Jahan Ke Nazaare
Jise Har Nafas Yaad Aaye Madina.
Wo Deewane Hain Ham Shahe Ambiya Ke
Na Lein Khuld Bhi Jo Bajaye Madina.
Zameen Kya Falak Kya Bashar Kya Malak Kya
Sabhi Horahe Hain Fidaye Madina.
Hai Fazle Khuda Mujh Par Aye Fazl Kitna
Azal Se Hoon Mai Bhi Gadaye Madina.