Kaaba Dikhade Maula Maula

Kaaba Dikhade Maula Maula

Kaaba Dikhade Maula Maula
Kaaba Dikhade Maula.

Umr Bachi Hai Meri Kahan
Mar Hi Na Jaaun Maula Kahan

Kabhi Gird Kaabe Ke Mai Bhi To Ghoomun
Kabhi Mai Bhi Kaabe Ki Chadar Ko Choomun
Mujhe Bhi Dikhade Khudaya Haram Wo
Barasti Hai Rehmath Ki Baarish Jahan.

Kabhi Sange Aswad Ka Bosa Ataa Ho
Ke Marne Se Pehle Khatam Har Khata Ho
Tamanna Mere Rab Ye Poori Tu Karde
Isi Justju Hoon Jeeta Yahan.

Mai Aksar Hi Yaadon Me Kaabe Ko Pohoncha
Mai Kitna Hoon Tadpa Mai Kitna Hoon Roya
Hai Bechain Maula Ye Dil Mera Kitna
Karun Kaise Mai Ye Labon Se Bayaan.

Bohot Ho Ke Aaye Hain Dekho Wahan Se
Ke Mai Sirf Jaa Hi Na Paaya Yahan Se
Ziyarath Haram Ki Hai Kitnon Ne Karli
Teri Ab Nigahe Karam Ho Yahan.

Bohot Log Jaate Hain Aise Haram Ko
Ke Jaise Haram Ho Qadam Do Qadam Ko
Bada Khoob Unka Muqaddar Hai Maula
Ye Auqaat Waisi Hai Meri Kahan.

Suna Hai Wahan Par Jo Hajj Horaha Hai
Ye Parwaan Sunkar Yahan Roraha Hai
Bulale Khudaya Ise Bhi Haram Me
Lagi Aag Dil Ki Bujhade Wahan.

More from Dua Munajaath Nazm

  • Apna Haram Dikhade Dono Jahan Ke Maalik
  • Aye Meri Maa Salamath Rahe Tu
  • Aye Sabz Gumbad Waale Manzaoor Dua Karna
  • Darde Dil Kar Mujhe Ataa Ya Rab
  • Duniya Ke Aye Musafir
  • Eidi Ataa Karein (Eid Special)