Koi Gul Baaqi Rahega Na Chaman Rehjayega

Koi Gul Baaqi Rahega Na Chaman Rehjayega

Koi Gul Baaqi Rahega Na Chaman Rehjayega
Par Rasoolallah Ka Deene Hasan Rehjayega.

Naame Shaahane Jahan Mitjayenge Lekin Yahan
Hashr Tak Naamo Nishaane Panjatan Rehjayega.

Jo Padhega Sahibe Laulaak Ke Upar Durood
Aag Se Mahfooz Uska Tan Badan Rehjayega.

Ham Safeeron Baagh Me Hai Koi Dam Ka Chehchaha
Bulbulein Udhjaayeingi Soona Chaman Rehjayega.

Atlas -O- Kam Khwaab Ki Poshagh Par Nazaan Na Ho
Iss Tan -E- Be Jaan Par Khaaki Kafan Rehjayeha.

Sab Fana Hojayeinge Kaafi Wo Lekin Hashr Tak
Naate Hazrath Ka Zubaanon Par Sukhan Rehjayega.